har sada su-e-falak arsh se Takraati hai
har sadā sū-e-falak arsh se Takrātī hai
dil kī āvāz bahut duur talak jaatī hai
kis qadar aag hai is ishq kī chiñgārī meñ
jab bhaḌaktī hai to patthar ko bhī pighlātī hai
is qadar dhuul uḌaa.ī hai ġham-e-duniyā kī
gardish-e-fikr bhī aate hue sharmātī hai
maiñ ne dekhā hai ka.ī mard-e-qalandar kī hayāt
tāj-e-shāhī kī anā paañv se Thukrātī hai
jism meñ ḳhuun ubaltā hai kisī kī ḳhātir
ruuh be-tāb hai bechain hai bal khātī hai
har sada su-e-falak arsh se Takraati hai
dil ki aawaz bahut dur talak jati hai
kis qadar aag hai is ishq ki chingari mein
jab bhaDakti hai to patthar ko bhi pighlati hai
is qadar dhul uDai hai gham-e-duniya ki
gardish-e-fikr bhi aate hue sharmati hai
main ne dekha hai kai mard-e-qalandar ki hayat
taj-e-shahi ki ana panw se Thukraati hai
jism mein KHun ubalta hai kisi ki KHatir
ruh be-tab hai bechain hai bal khati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.