har sadae ishq mein ek raaz hai
har sadā.e ishq meñ ik raaz hai
nāla-e-dil ġhaib kī āvāz hai
ishq ne dil ko pukārā is tarah
maiñ ye samjhā aap kī āvāz hai
un se mil kar maiñ unhīñ meñ kho gayā
aur jo kuchh hai vo aage raaz hai
husn ke jalvoñ ko apne dil meñ dekh
lan-tarānī daur kī āvāz hai
vus.at-e-tanzīm-e-qudarat dekhnā
ek dil meñ do-jahāñ kā raaz hai
har sadae ishq mein ek raaz hai
nala-e-dil ghaib ki aawaz hai
ishq ne dil ko pukara is tarah
main ye samjha aap ki aawaz hai
un se mil kar main unhin mein kho gaya
aur jo kuchh hai wo aage raaz hai
husn ke jalwon ko apne dil mein dekh
lan-tarani daur ki aawaz hai
wusat-e-tanzim-e-qudarat dekhna
ek dil mein do-jahan ka raaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.