har sadi mein qissa-e-mansur dohraya gaya
har sadī meñ qissa-e-mansūr dohrāyā gayā
sach kahā jis ne use suulī pe laTkāyā gayā
ham pe hī sadiyoñ se haiñ zulm-o-sitam jabr-o-alam
aur hameñ hī morid-e-ilzām Thahrāyā gayā
har zamāne meñ milegā ik sadāqat kā naqīb
har zamāne meñ use hī tauq pahnāyā gayā
ruḳh badal kar āñdhiyāñ hālāt kī uThtī rahīñ
azm meñ mere na koī farq bhī paayā gayā
kyā sunā.eñ ham shikast-e-dil kā afsāna 'jamāl'
ye vo shīsha hai jo har patthar se Takrāyā gayā
har sadi mein qissa-e-mansur dohraya gaya
sach kaha jis ne use suli pe laTkaya gaya
hum pe hi sadiyon se hain zulm-o-sitam jabr-o-alam
aur hamein hi morid-e-ilzam Thahraya gaya
har zamane mein milega ek sadaqat ka naqib
har zamane mein use hi tauq pahnaya gaya
ruKH badal kar aandhiyan haalat ki uThti rahin
azm mein mere na koi farq bhi paya gaya
kya sunaen hum shikast-e-dil ka afsana 'jamal'
ye wo shisha hai jo har patthar se Takraya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.