har safar hai nae sarabon ka
har safar hai na.e sarāboñ kā
jaise ik silsila azāboñ kā
baaqī tārīkiyoñ kī ḳhvāhish hai
qatl karnā hai āftāboñ kā
jaane kis dhun meñ zindagī guzrī
chehra takte rahe kitāboñ kā
rū-ba-rū ab kahāñ mulāqāteñ
silsila rah gayā hai ḳhvāboñ kā
barchhiyāñ ratjagoñ kī chaltī haiñ
qatl hotā hai roz ḳhvāboñ kā
merī ḳhalvat meñ ānā-jānā hai
āftāboñ kā māhtāboñ kā
in pe chhiḌkeñ zarā lahū merā
rañg pheñkā hai kuchh gulāboñ kā
jis se hañs kar laḌā huuñ maiñ 'shākir'
ek lashkar thā iztiraاbiyoñ kā
har safar hai nae sarabon ka
jaise ek silsila azabon ka
baqi tarikiyon ki KHwahish hai
qatl karna hai aaftabon ka
jaane kis dhun mein zindagi guzri
chehra takte rahe kitabon ka
ru-ba-ru ab kahan mulaqaten
silsila rah gaya hai KHwabon ka
barchhiyan ratjagon ki chalti hain
qatl hota hai roz KHwabon ka
meri KHalwat mein aana-jaana hai
aaftabon ka mahtabon ka
in pe chhiDken zara lahu mera
rang phenka hai kuchh gulabon ka
jis se hans kar laDa hun main 'shakir'
ek lashkar tha iztiraاbiyon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.