Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har sahar rangin-nawa har sham KHush-ahang hai

Faiz Jhanjhanvi

har sahar rangin-nawa har sham KHush-ahang hai

Faiz Jhanjhanvi

MORE BYFaiz Jhanjhanvi

    har sahar rangīñ-navā har shaam ḳhush-āhang hai

    ye javānī hai ki firdaus-e-rabāb-o-chang hai

    jaur-e-paiham se ta.ajjub ke agar dil tang hai

    vo hañsī jo had se baḌh jaa.e payām-e-jang hai

    ye ḳhabar bhī ai asīr-e-jalva-e-sad-rang hai

    dil ke ā.īne ko aks-e-lāla-o-gul-rang hai

    ahd ahd-e-nā-tavāñ har uzr uzr-e-lang hai

    kyā yahī tahzīb-e-sham.a-e-mahfil-e-afrañg hai

    tum nahīñ to ik dil-e-maġhmūm par kyā munhasir

    har gul-e-firdaus tasvīr-e-shikasta-rang hai

    vo agar sho.ala-zan-e-dil hoñ to husn-e-iltifāt

    dil agar shikva-kun-e-soz-e-darūñ ho nang hai

    kyā harīf-e-sohbat-e-begāna ho tab.a-e-latīf

    sīna-e-shabnam pe barg-e-sabza-e-tar sang hai

    vo shikast-e-dil jo ho marhūn-e-zarb-e-zikr-e-dost

    jazb-o-mastī ko sarosh-e-sāz-e-ḳhush-āhang hai

    lauh-e-hastī par nahīñ ik shai bhī marfū'-ul-qalam

    nuqta-e-sahv is jagah nuqta nahīñ farhang hai

    ḳhatra-e-rahzan se baḌh kar ho jahāñ ehsān-e-ḳhizr

    ik qadam is jāda-e-ulfat meñ sau farsang hai

    kaash vo phir hoñ rahīn-e-kāvish-e-qat'a-o-burīd

    go qabā-e-zindagī rangīñ hai lekin tang hai

    ḳhanda-e-gul ho rahīn-e-girya-e-shabnam jahāñ

    vo jahān-e-rang-o-bū bhī 'faiz' ik nairang hai

    har sahar rangin-nawa har sham KHush-ahang hai

    ye jawani hai ki firdaus-e-rabab-o-chang hai

    jaur-e-paiham se tajjub ke agar dil tang hai

    wo hansi jo had se baDh jae payam-e-jang hai

    ye KHabar bhi ai asir-e-jalwa-e-sad-rang hai

    dil ke aaine ko aks-e-lala-o-gul-rang hai

    ahd ahd-e-na-tawan har uzr uzr-e-lang hai

    kya yahi tahzib-e-shama-e-mahfil-e-afrang hai

    tum nahin to ek dil-e-maghmum par kya munhasir

    har gul-e-firdaus taswir-e-shikasta-rang hai

    wo agar shoala-zan-e-dil hon to husn-e-iltifat

    dil agar shikwa-kun-e-soz-e-darun ho nang hai

    kya harif-e-sohbat-e-begana ho taba-e-latif

    sina-e-shabnam pe barg-e-sabza-e-tar sang hai

    wo shikast-e-dil jo ho marhun-e-zarb-e-zikr-e-dost

    jazb-o-masti ko sarosh-e-saz-e-KHush-ahang hai

    lauh-e-hasti par nahin ek shai bhi marfu'-ul-qalam

    nuqta-e-sahw is jagah nuqta nahin farhang hai

    KHatra-e-rahzan se baDh kar ho jahan ehsan-e-KHizr

    ek qadam is jada-e-ulfat mein sau farsang hai

    kash wo phir hon rahin-e-kawish-e-qat'a-o-burid

    go qaba-e-zindagi rangin hai lekin tang hai

    KHanda-e-gul ho rahin-e-girya-e-shabnam jahan

    wo jahan-e-rang-o-bu bhi 'faiz' ek nairang hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now