har samt bikharti hui KHushbu ki tarah hain
har samt bikhartī huī ḳhushbū kī tarah haiñ
kuchh log mire shahr meñ urdu kī tarah haiñ
kuchh log mohabbat ke payambar haiñ zamīñ par
kuchh log siyah raat meñ jugnū kī tarah haiñ
gir sakte haiñ dāman pe kisī vaqt bhī ab ham
ruḳhsār pe Thahre hue aañsū kī tarah haiñ
sirhāne pe rakhe hue kuchh ḳhvāb hamāre
phūloñ se bhare aap ke baazū kī tarah haiñ
ham 'mīr' ke dīvān kā ik sher haiñ 'nayyar'
ham zaḳhm-rasīda kisī aahū kī tarah haiñ
har samt bikharti hui KHushbu ki tarah hain
kuchh log mere shahr mein urdu ki tarah hain
kuchh log mohabbat ke payambar hain zamin par
kuchh log siyah raat mein jugnu ki tarah hain
gir sakte hain daman pe kisi waqt bhi ab hum
ruKHsar pe Thahre hue aansu ki tarah hain
sirhane pe rakhe hue kuchh KHwab hamare
phulon se bhare aap ke bazu ki tarah hain
hum 'mir' ke diwan ka ek sher hain 'nayyar'
hum zaKHm-rasida kisi aahu ki tarah hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.