har samt hai tufan-e-bala soch raha hun
har samt hai tufan-e-bala soch raha hun
Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
MORE BYSyed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
har samt hai tūfān-e-balā soch rahā huuñ
qismat meñ hai kyā apnī likhā soch rahā huuñ
ye mujh ko milī kis kī sazā soch rahā huuñ
kyā mujh se huī koī ḳhatā soch rahā huuñ
kahte haiñ tavaqqo hī nahīñ mujh ko kisī se
karte haiñ magar phir bhī gilā soch rahā huuñ
kuchh pās-e-vafā ḳhuun kā rakhnā hī paḌegā
apnā to hai ho laakh burā soch rahā huuñ
tār-e-nafas-e-shauq meñ uljhā hai zamāna
anjām-e-ġham-e-shauq ho kyā soch rahā huuñ
laalī to na thī itnī kabhī shoḳh hinā kī
kyoñ aaj hai ye rang-e-hinā soch rahā huuñ
sarsabz thā kal tak so jalā aaj paḌā hai
gulshan meñ chalī kaisī havā soch rahā huuñ
karte haiñ vo ḳhud qatl pas-e-marg haiñ rote
vallāh hai ye kaisī adā soch rahā huuñ
maiñ soch rahā huuñ vo mujhe bhuul hī baiThe
kyoñ maiñ na unheñ bhuul sakā soch rahā huuñ
kyoñ mujh se ḳhafā aap haiñ kyoñ rūThe hue haiñ
kyā mujh se huī aisī ḳhatā soch rahā huuñ
muñh phere guzar jā.eñge mujh se bhī kabhī vo
pahle kabhī sochā bhī na thā soch rahā huuñ
kuchh apnī tabāhī kā nahīñ mujh ko 'ziyā' ġham
jaatī hai kidhar ab ye balā soch rahā huuñ
har samt hai tufan-e-bala soch raha hun
qismat mein hai kya apni likha soch raha hun
ye mujh ko mili kis ki saza soch raha hun
kya mujh se hui koi KHata soch raha hun
kahte hain tawaqqo hi nahin mujh ko kisi se
karte hain magar phir bhi gila soch raha hun
kuchh pas-e-wafa KHun ka rakhna hi paDega
apna to hai ho lakh bura soch raha hun
tar-e-nafas-e-shauq mein uljha hai zamana
anjam-e-gham-e-shauq ho kya soch raha hun
lali to na thi itni kabhi shoKH hina ki
kyon aaj hai ye rang-e-hina soch raha hun
sarsabz tha kal tak so jala aaj paDa hai
gulshan mein chali kaisi hawa soch raha hun
karte hain wo KHud qatl pas-e-marg hain rote
wallah hai ye kaisi ada soch raha hun
main soch raha hun wo mujhe bhul hi baiThe
kyon main na unhen bhul saka soch raha hun
kyon mujh se KHafa aap hain kyon ruThe hue hain
kya mujh se hui aisi KHata soch raha hun
munh phere guzar jaenge mujh se bhi kabhi wo
pahle kabhi socha bhi na tha soch raha hun
kuchh apni tabahi ka nahin mujh ko 'ziya' gham
jati hai kidhar ab ye bala soch raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.