har samt KHamushi ka ghana ek hisar tha
har samt ḳhāmushī kā ghanā ik hisār thā
hadd-e-nigāh silsila-e-kohsār thā
vo aag thī ki jaltā rahā umr bhar badan
muzmar mire lahū meñ kahīñ ik sharār thā
chhū kar bulandiyoñ ko hue bad-gumān log
phir is ke ba.ad ek musalsal utaar thā
ham ne duā.eñ maañg kar rokīñ tabāhiyāñ
lekin har ek shai meñ ajab intishār thā
ik raushnī bhī dast-e-masāfat meñ saath thī
koī to mujh se aage sar-e-rahguzār thā
har samt KHamushi ka ghana ek hisar tha
hadd-e-nigah silsila-e-kohsar tha
wo aag thi ki jalta raha umr bhar badan
muzmar mere lahu mein kahin ek sharar tha
chhu kar bulandiyon ko hue bad-guman log
phir is ke baad ek musalsal utar tha
hum ne duaen mang kar rokin tabahiyan
lekin har ek shai mein ajab intishaar tha
ek raushni bhi dast-e-masafat mein sath thi
koi to mujh se aage sar-e-rahguzar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.