har samt KHud-numai ka manzar hai aaj-kal
har samt ḳhud-numā.ī kā manzar hai āj-kal
rahzan bhī apne aap meñ rahbar hai āj-kal
jhulsā diyā hai jaise zamāne kī dhuup ne
pyāsā hai jis kā naam samundar hai āj-kal
har shaḳhs chāhtā hai mile martaba mujhe
har ek andhī soch kā ḳhūgar hai āj-kal
ismat se khelnā yahāñ jis kā shi.ār hai
sab kī nigāh meñ vahī bartar hai āj-kal
zardār jitne shahr meñ the un ko ghar mile
ghar us ko mil na paayā jo be-ghar hai āj-kal
jo shaḳhs apne daur kā ā.īna-dār thā
afsos us ke haath meñ patthar hai āj-kal
lafzoñ meñ kis tarah ise 'rahbar' bayāñ karūñ
is dil ke aa.ine meñ jo manzar hai āj-kal
har samt KHud-numai ka manzar hai aaj-kal
rahzan bhi apne aap mein rahbar hai aaj-kal
jhulsa diya hai jaise zamane ki dhup ne
pyasa hai jis ka nam samundar hai aaj-kal
har shaKHs chahta hai mile martaba mujhe
har ek andhi soch ka KHugar hai aaj-kal
ismat se khelna yahan jis ka shiar hai
sab ki nigah mein wahi bartar hai aaj-kal
zardar jitne shahr mein the un ko ghar mile
ghar us ko mil na paya jo be-ghar hai aaj-kal
jo shaKHs apne daur ka aaina-dar tha
afsos us ke hath mein patthar hai aaj-kal
lafzon mein kis tarah ise 'rahbar' bayan karun
is dil ke aaine mein jo manzar hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.