har samt rang-o-nur ka dariya dikhai de
har samt rañg-o-nūr kā dariyā dikhā.ī de
har mauj-e-rañg meñ tirā chehra dikhā.ī de
har aa.ine meñ terā sarāpā dikhā.ī de
koī to is jahān meñ apnā dikhā.ī de
tai kis tarah ho jāda-e-nairañg-e-ārzū
har gaam terā naqsh-e-kaf-e-pā dikhā.ī de
kirneñ gurez-pā haiñ to ḳhushbū bahāna-jū
ai kaash koī apnā shanāsā dikhā.ī de
ik dāman-e-nazar ki bachānā muhāl hai
ik sho.ala-e-badan ki lapaktā dikhā.ī de
duniyā-e-rañg-o-nūr bahut be-karāñ sahī
pesh-e-nazar jo tū hai to phir kyā dikhā.ī de
har samt rang-o-nur ka dariya dikhai de
har mauj-e-rang mein tera chehra dikhai de
har aaine mein tera sarapa dikhai de
koi to is jahan mein apna dikhai de
tai kis tarah ho jada-e-nairang-e-arzu
har gam tera naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de
kirnen gurez-pa hain to KHushbu bahana-ju
ai kash koi apna shanasa dikhai de
ek daman-e-nazar ki bachana muhaal hai
ek shoala-e-badan ki lapakta dikhai de
duniya-e-rang-o-nur bahut be-karan sahi
pesh-e-nazar jo tu hai to phir kya dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.