har samt tirgi hai nasheman jalaen hum
har samt tīrgī hai nasheman jalā.eñ ham
sahn-e-chaman meñ jashn-e-charāġhāñ manā.eñ ham
dāġhoñ se dil ke dard kā sūraj ugā.eñ ham
har shaam zindagī ko daraḳhshāñ banā.eñ ham
bichhḌe the jis maqām se mil jaao phir vahīñ
rāheñ badal ga.ī haiñ tumheñ bhī dikhā.eñ ham
ham ne kis ehtimām se kaaTī hai zindagī
ai inqilāb-e-vaqt tujhe kyā batā.eñ ham
ye silsila azal se abad tak darāz hai
kab tak sunoge aur kahāñ tak sunā.eñ ham
har samt tirgi hai nasheman jalaen hum
sahn-e-chaman mein jashn-e-charaghan manaen hum
daghon se dil ke dard ka suraj ugaen hum
har sham zindagi ko daraKHshan banaen hum
bichhDe the jis maqam se mil jao phir wahin
rahen badal gai hain tumhein bhi dikhaen hum
hum ne kis ehtimam se kaTi hai zindagi
ai inqilab-e-waqt tujhe kya bataen hum
ye silsila azal se abad tak daraaz hai
kab tak sunoge aur kahan tak sunaen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.