har samt uDi gard mere shahr-e-guman mein
Interesting Fact
Tahreek-e-Adab (Volume: 2, 2008)
har samt uḌī gard mire shahr-e-gumāñ meñ
mahsūr tamannā hai zamāne ke dhuāñ meñ
sannāTe kā jo qissa sunāne meñ magan hai
raqsāñ thā kabhī shor usī ujḌe makāñ meñ
ḳhushiyoñ ko badan par jo lapeTe hue kal thā
hai aaj sharābor vahī dard nihāñ meñ
ma.adūm huā gul kā nishāñ sahn-e-chaman se
ḳhushbū hai magar ab bhī basī bād-e-ravāñ meñ
har ḳhvāb kī ta.abīr nazar aa.ī hirāsāñ
nāpaid huā josh-e-junūñ mard-e-javāñ meñ
fardā kī galī meñ vo baḌā kaam karegī
ik zid hai khilaune kī jo ma.asūm fuġhāñ meñ
guzrī huī saa.at ko palaTne meñ lagā hai
kuchh baat nazar aa.ī use kār-e-ziyāñ meñ
pur-kaif huī 'sāhnī' har saañs kī aahaT
mauhūm ishāra jo milā vaqt-e-girāñ meñ
har samt uDi gard mere shahr-e-guman mein
mahsur tamanna hai zamane ke dhuan mein
sannaTe ka jo qissa sunane mein magan hai
raqsan tha kabhi shor usi ujDe makan mein
KHushiyon ko badan par jo lapeTe hue kal tha
hai aaj sharabor wahi dard nihan mein
madum hua gul ka nishan sahn-e-chaman se
KHushbu hai magar ab bhi basi baad-e-rawan mein
har KHwab ki tabir nazar aai hirasan
napaid hua josh-e-junun mard-e-jawan mein
farda ki gali mein wo baDa kaam karegi
ek zid hai khilaune ki jo masum fughan mein
guzri hui saat ko palaTne mein laga hai
kuchh baat nazar aai use kar-e-ziyan mein
pur-kaif hui 'sahni' har sans ki aahaT
mauhum ishaara jo mila waqt-e-giran mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.