har samt zindagi ka tamasha bhi KHub hai
har samt zindagī kā tamāshā bhī ḳhuub hai
duniyā bhī ḳhuub raunaq-e-duniyā bhī ḳhuub hai
jis shahr meñ kisī ko kisī kī ḳhabar nahīñ
us shahr-e-lā-javāb meñ jiinā bhī ḳhuub hai
mai-ḳhāna-e-hayāt kā ahvāl kyā likhūñ
saaqī bhī ḳhuub sāġhar-e-sahbā bhī ḳhuub hai
pī kar sharāb gum maiñ rahūñ apne hosh meñ
ai zindagī ye terā taqāzā bhī ḳhuub hai
dekhā hai maiñ ne us ke ziyāñ meñ bhī fā.eda
bāzār-e-ārzū kā ḳhasārā bhī ḳhuub hai
hotī hai avvalīñ hī mulāqāt-e-āḳhirī
insān kā ye maut se rishta bhī ḳhuub hai
muddat se chal rahā huuñ magar tai na kar sakā
'shāhid' ye rāh-e-rāst tamannā bhī ḳhuub hai
har samt zindagi ka tamasha bhi KHub hai
duniya bhi KHub raunaq-e-duniya bhi KHub hai
jis shahr mein kisi ko kisi ki KHabar nahin
us shahr-e-la-jawab mein jina bhi KHub hai
mai-KHana-e-hayat ka ahwal kya likhun
saqi bhi KHub saghar-e-sahba bhi KHub hai
pi kar sharab gum main rahun apne hosh mein
ai zindagi ye tera taqaza bhi KHub hai
dekha hai main ne us ke ziyan mein bhi faeda
bazar-e-arzu ka KHasara bhi KHub hai
hoti hai awwalin hi mulaqat-e-aKHiri
insan ka ye maut se rishta bhi KHub hai
muddat se chal raha hun magar tai na kar saka
'shahid' ye rah-e-rast tamanna bhi KHub hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.