har shaKH-e-gul ko be-sar-o-saman bana diya
har shāḳh-e-gul ko be-sar-o-sāmāñ banā diyā
yāroñ ne gulsitāñ ko bayābāñ banā diyā
taḳhlīq sab kī ek hai a.amāl ne magar
kāfir tujhe to mujh ko musalmāñ banā diyā
is jān-e-gulsitāñ kī tamannā ne ai nadīm
mujh ko har ik chaman se gurezāñ banā diyā
dushvār ho chukī thī mujhe zindagī magar
sāqī-e-dil-navāz ne āsāñ banā diyā
'āsī' ḳhudā kā shukr karo jis ke lutf ne
auroñ ke saath tum ko bhī insāñ banā diyā
har shaKH-e-gul ko be-sar-o-saman bana diya
yaron ne gulsitan ko bayaban bana diya
taKHliq sab ki ek hai aamal ne magar
kafir tujhe to mujh ko musalman bana diya
is jaan-e-gulsitan ki tamanna ne ai nadim
mujh ko har ek chaman se gurezan bana diya
dushwar ho chuki thi mujhe zindagi magar
saqi-e-dil-nawaz ne aasan bana diya
'asi' KHuda ka shukr karo jis ke lutf ne
auron ke sath tum ko bhi insan bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.