har shai hai sogwar magar kya koi kahe
har shai hai sogvār magar kyā koī kahe
kahne ko hai hazār magar kyā koī kahe
dil ko hamāre aaj koī un kī ek baat
guzrī hai nāgavār magar kyā koī kahe
maazī ke ek baab se aane pe koī yaad
āñkheñ haiñ ashk-bār magar kyā koī kahe
phir maiñ huuñ aur ek adhūrī sī dāstān
aa.e haiñ ġham-gusār magar kyā koī kahe
ik dūsre kī yaad meñ har aan har pahar
donoñ haiñ be-qarār magar kyā koī kahe
har shai hai sogwar magar kya koi kahe
kahne ko hai hazar magar kya koi kahe
dil ko hamare aaj koi un ki ek baat
guzri hai nagawar magar kya koi kahe
mazi ke ek bab se aane pe koi yaad
aankhen hain ashk-bar magar kya koi kahe
phir main hun aur ek adhuri si dastan
aae hain gham-gusar magar kya koi kahe
ek dusre ki yaad mein har aan har pahar
donon hain be-qarar magar kya koi kahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.