har shai ki bas tab tak qimat hoti hai
har shai kī bas tab tak qīmat hotī hai
jab tak aap ko us kī zarūrat hotī hai
dil ko ham ne samjhāyā thā ḳhuub magar
soch-samajh kar kab ye mohabbat hotī hai
be-shak vo kuchh log kamāl ke hote haiñ
jin pe dukh kī ḳhaas ināyat hotī hai
ronā bhī ab to ham par āsān nahīñ
ashkoñ ko ab ham se vahshat hotī hai
aksar pyaar samajh lete haiñ log jise
pyaar nahīñ hotā hai aadat hotī hai
har shai ki bas tab tak qimat hoti hai
jab tak aap ko us ki zarurat hoti hai
dil ko hum ne samjhaya tha KHub magar
soch-samajh kar kab ye mohabbat hoti hai
be-shak wo kuchh log kamal ke hote hain
jin pe dukh ki KHas inayat hoti hai
rona bhi ab to hum par aasan nahin
ashkon ko ab hum se wahshat hoti hai
aksar pyar samajh lete hain log jise
pyar nahin hota hai aadat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.