Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har shaKHs asir-e-gham-e-dauran nahin hota

Qazi Syed Khursheeduddeen Khursheed

har shaKHs asir-e-gham-e-dauran nahin hota

Qazi Syed Khursheeduddeen Khursheed

MORE BYQazi Syed Khursheeduddeen Khursheed

    har shaḳhs asīr-e-ġham-e-daurāñ nahīñ hotā

    har ahl-e-junūñ chāk-garebāñ nahīñ hotā

    har kunj-e-qafas rashk-e-bahārāñ nahīñ hotā

    har phuul matā.a-e-chamanistāñ nahīñ hotā

    karte haiñ jo mañjdhār se sāhil tamāshā

    un ko kabhī andesha-e-tūfāñ nahīñ hotā

    har raat ke dāman meñ nahīñ nuur sahar

    har nūr-e-sahar kaif-badāmāñ nahīñ hotā

    har zaḳhm ko risne tamanna nahīñ hotī

    har dard zubūñ-kesh numāyāñ nahīñ hotā

    har ġham ke liye izn-e-tabassum nahīñ lāzim

    har ek tabassum ġham-e-insāñ nahīñ hotā

    har zarra nahīñ hotā hai 'ḳhurshīd' partav

    ḳhurshīd har ik zarra-badāmāñ nahīñ hotā

    har shaKHs asir-e-gham-e-dauran nahin hota

    har ahl-e-junun chaak-gareban nahin hota

    har kunj-e-qafas rashk-e-bahaaran nahin hota

    har phul mataa-e-chamanistan nahin hota

    karte hain jo manjdhaar se sahil ka tamasha

    un ko kabhi andesha-e-tufan nahin hota

    har raat ke daman mein nahin nur sahar ka

    har nur-e-sahar kaif-badaman nahin hota

    har zaKHm ko risne ki tamanna nahin hoti

    har dard zubun-kesh numayan nahin hota

    har gham ke liye izn-e-tabassum nahin lazim

    har ek tabassum gham-e-insan nahin hota

    har zarra nahin hota hai 'KHurshid' ka partaw

    KHurshid har ek zarra-badaman nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now