har shaKHs ban gaya hai KHuda tere shahr mein
har shaḳhs ban gayā hai ḳhudā tere shahr meñ
kis kis ke dar pe māñgīñ duā tere shahr meñ
mujrim haiñ saare ahl-e-vafā tere shahr meñ
kyā ḳhuub hai vafā kā sila tere shahr meñ
ahl-e-havas ke naam se haiñ rū-shanās ḳhalq
miltī hai jin ko dād-e-vafā tere shahr meñ
rakhte haiñ log tohmateñ apne nasīb par
karte haiñ yuuñ bhī terā gilā tere shahr meñ
apnoñ pe e'timād na ġhairoñ pe e'timād
ye kaisī chal paḌī hai havā tere shahr meñ
hotā hai kis maraz kā mudāvā tire yahāñ
miltī hai kis maraz kī davā tere shahr meñ
rakhte haiñ har jazā ko qayāmat pe munhasir
dete haiñ har ḳhatā kī sazā tere shahr meñ
har shaKHs ban gaya hai KHuda tere shahr mein
kis kis ke dar pe mangin dua tere shahr mein
mujrim hain sare ahl-e-wafa tere shahr mein
kya KHub hai wafa ka sila tere shahr mein
ahl-e-hawas ke nam se hain ru-shanas KHalq
milti hai jin ko dad-e-wafa tere shahr mein
rakhte hain log tohmaten apne nasib par
karte hain yun bhi tera gila tere shahr mein
apnon pe e'timad na ghairon pe e'timad
ye kaisi chal paDi hai hawa tere shahr mein
hota hai kis maraz ka mudawa tere yahan
milti hai kis maraz ki dawa tere shahr mein
rakhte hain har jaza ko qayamat pe munhasir
dete hain har KHata ki saza tere shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.