har shaKHs gunah-gar hai malum nahin kyon
har shaḳhs gunah-gār hai mā'lūm nahīñ kyoñ
āñgan meñ bhī dīvār hai mā'lūm nahīñ kyoñ
jis par thā bharosa ki hifāzat vo karegā
fitrat se hī lāchār hai mā'lūm nahīñ kyoñ
us se to mujhe koī shikāyat hī nahīñ hai
mujh se hī vo bezār hai mā'lūm nahīñ kyoñ
karnī thī use sach kī himāyat hī magar vo
mujrim kā taraf-dār hai mā'lūm nahīñ kyoñ
baḳhshī hai zamīñ us ne hasīñ chāñd sitāre
mushkil meñ ye sansār hai mā'lūm nahīñ kyoñ
dil jis ko diyā ham ne thā hamrāz samajh kar
vo jaañ kā talabgār hai mā'lūm nahīñ kyoñ
har shaKHs gunah-gar hai ma'lum nahin kyon
aangan mein bhi diwar hai ma'lum nahin kyon
jis par tha bharosa ki hifazat wo karega
fitrat se hi lachaar hai ma'lum nahin kyon
us se to mujhe koi shikayat hi nahin hai
mujh se hi wo bezar hai ma'lum nahin kyon
karni thi use sach ki himayat hi magar wo
mujrim ka taraf-dar hai ma'lum nahin kyon
baKHshi hai zamin us ne hasin chand sitare
mushkil mein ye sansar hai ma'lum nahin kyon
dil jis ko diya hum ne tha hamraaz samajh kar
wo jaan ka talabgar hai ma'lum nahin kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.