har shaKHs isi KHayal mein hai
har shaḳhs isī ḳhayāl meñ hai
ye shahr bhī yarġhamāl meñ hai
kyā jāniye fikr kyā lagī hai
kyā hāshiya-e-ḳhayāl meñ hai
mumkin hai uruuj ho mayassar
duniyā to abhī zavāl meñ hai
taḳhlīq kā lā-zavāl lamha
lafzoñ ke hasīn jaal meñ hai
tahrīr har ek phīkī phīkī
har mū-e-qalam zavāl meñ hai
be-misl rafāqatoñ kī ḳhushbū
ā.īna-e-māh-o-sāl meñ hai
lahja hī badal gayā hai us kā
talḳhī sī har ik savāl meñ hai
har shaKHs isi KHayal mein hai
ye shahr bhi yarghamal mein hai
kya jaaniye fikr kya lagi hai
kya hashiya-e-KHayal mein hai
mumkin hai uruj ho mayassar
duniya to abhi zawal mein hai
taKHliq ka la-zawal lamha
lafzon ke hasin jal mein hai
tahrir har ek phiki phiki
har mu-e-qalam zawal mein hai
be-misl rafaqaton ki KHushbu
aaina-e-mah-o-sal mein hai
lahja hi badal gaya hai us ka
talKHi si har ek sawal mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.