har shaKHs jo hassas hai ranjida bahut hai
har shaḳhs jo hassās hai ranjīda bahut hai
māhaul mire shahr kā sanjīda bahut hai
apnoñ hī ne maare haiñ mujhe tanz ke patthar
dil dard kī sauġhāt se larzīda bahut hai
chehroñ pe ajab ḳhauf ke saa.e se haiñ larzāñ
kyā baat ki har shaḳhs hī nam-dīda bahut hai
pahne hue izzat kā labāda hai jo ik shaḳhs
bastī ke sharīfoñ meñ jahāñ-dīda bahut hai
utrā huā chehra jo hai munsif kā to samjho
insāf se apne hī vo larzīda bahut hai
ahbāb to mahfil meñ sunāte haiñ latīfe
lekin vo 'azīm' aaj bhī sanjīda bahut hai
har shaKHs jo hassas hai ranjida bahut hai
mahaul mere shahr ka sanjida bahut hai
apnon hi ne mare hain mujhe tanz ke patthar
dil dard ki saughat se larzida bahut hai
chehron pe ajab KHauf ke sae se hain larzan
kya baat ki har shaKHs hi nam-dida bahut hai
pahne hue izzat ka labaada hai jo ek shaKHs
basti ke sharifon mein jahan-dida bahut hai
utra hua chehra jo hai munsif ka to samjho
insaf se apne hi wo larzida bahut hai
ahbab to mahfil mein sunate hain latife
lekin wo 'azim' aaj bhi sanjida bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.