har shaKHs ko hairat ki taswir bana dega
har shaḳhs ko hairat kī tasvīr banā degā
ab kyā kisī paikar ko ā.īna jalā degā
raj.at bhī karegā to Thahrā huā sayyāra
sūraj kī mohabbat meñ ghar apnā jalā degā
kam-baḳht ko itnā bhī ehsās nahīñ shāyad
jiine ke liye apne auroñ ko duā degā
kuchh yaad nahīñ mujh ko maiñ kaun huuñ kaisā huuñ
kyā koī mujhe merī pahchān batā degā
socho to 'ġhayūr' us kā ehsās bhī qātil hai
ik baar to hañs degā sau zaḳhm lagā degā
har shaKHs ko hairat ki taswir bana dega
ab kya kisi paikar ko aaina jala dega
rajat bhi karega to Thahra hua sayyara
suraj ki mohabbat mein ghar apna jala dega
kam-baKHt ko itna bhi ehsas nahin shayad
jine ke liye apne auron ko dua dega
kuchh yaad nahin mujh ko main kaun hun kaisa hun
kya koi mujhe meri pahchan bata dega
socho to 'ghayur' us ka ehsas bhi qatil hai
ek bar to hans dega sau zaKHm laga dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.