har shaKHs liye kasa-e-ummid khaDa hai
har shaḳhs liye kāsa-e-ummīd khaḌā hai
mahsūs ye hotā hai koī qaht paḌā hai
chehroñ pe ġhubār-e-ġham-e-hālāt paḌā hai
ham ahl-e-ḳharābāt pe ye vaqt kaḌā hai
ye sach hai tirā qad to mire qad se baḌā hai
lekin tū sar-e-vādī-e-pindār khaḌā hai
ye vasl ke lamhe haiñ bahar-hāl ġhanīmat
'isyāñ kī talāfī ko baḌā vaqt paḌā hai
us shaḳhs ko kis naam se mausūm karūñ maiñ
saa.e kī tarah jo mire nazdīk khaḌā hai
ye kis ne samoī mirī guftār meñ shoḳhī
ye kaun pas-e-parda-e-alfāz khaḌā hai
alfāz kā marham nahīñ is zaḳhm kā darmāñ
jo zaḳhm tire tarz-e-takallum se paḌā hai
'bāsit' kabhī us mard-e-qalandar se bhī milte
allāh-re vo shaḳhs ki jo ḳhud se laḌā hai
har shaKHs liye kasa-e-ummid khaDa hai
mahsus ye hota hai koi qaht paDa hai
chehron pe ghubar-e-gham-e-haalat paDa hai
hum ahl-e-KHarabaat pe ye waqt kaDa hai
ye sach hai tera qad to mere qad se baDa hai
lekin tu sar-e-wadi-e-pindar khaDa hai
ye wasl ke lamhe hain bahar-haal ghanimat
'isyan ki talafi ko baDa waqt paDa hai
us shaKHs ko kis nam se mausum karun main
sae ki tarah jo mere nazdik khaDa hai
ye kis ne samoi meri guftar mein shoKHi
ye kaun pas-e-parda-e-alfaz khaDa hai
alfaz ka marham nahin is zaKHm ka darman
jo zaKHm tere tarz-e-takallum se paDa hai
'basit' kabhi us mard-e-qalandar se bhi milte
allah-re wo shaKHs ki jo KHud se laDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.