har shaKHs wafa se haT chuka hai
har shaḳhs vafā se haT chukā hai
shīshoñ pe ġhubār aT chukā hai
dil-tā-ba-dimāġh phaT chukā hai
ye shahr kā shahr ulaT chukā hai
chehroñ pe damak kahāñ se aa.e
sūraj kā vaqār ghaT chukā hai
rishtoñ meñ ḳhulūs hī kahāñ thā
pahle bhī ye duudh phaT chukā hai
iz.hār-e-ḳhulūs karne vaalā
andar se bahut palaT chukā hai
itne bhī udaas kab the ham log
zāhir hai ki dil simaT chukā hai
tārīḳh-e-vafā meñ kyā milegā
āñkhoñ meñ jo vaqt kaT chukā hai
ab sāmne bhī vo aa.eñ to kyā
dil apnī taraf palaT chukā hai
dil hai ki usī kī nazr 'anjum'
jis dard kā bhaav ghaT chukā hai
har shaKHs wafa se haT chuka hai
shishon pe ghubar aT chuka hai
dil-ta-ba-dimagh phaT chuka hai
ye shahr ka shahr ulaT chuka hai
chehron pe damak kahan se aae
suraj ka waqar ghaT chuka hai
rishton mein KHulus hi kahan tha
pahle bhi ye dudh phaT chuka hai
izhaar-e-KHulus karne wala
andar se bahut palaT chuka hai
itne bhi udas kab the hum log
zahir hai ki dil simaT chuka hai
tariKH-e-wafa mein kya milega
aankhon mein jo waqt kaT chuka hai
ab samne bhi wo aaen to kya
dil apni taraf palaT chuka hai
dil hai ki usi ki nazr 'anjum'
jis dard ka bhaw ghaT chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.