har shakl rafta rafta anjaan ho gai hai
har shakl rafta rafta anjān ho ga.ī hai
mushkil thī jo bhī jis kī āsān ho ga.ī hai
kahnā na kuchh kisī se chup chup se takte rahnā
āḳhir yahī hamārī pahchān ho ga.ī hai
ik shaḳhs bholā-bhālā bastī kī pūchhtā hai
kaise kahūñ ki bastī vīrān ho ga.ī hai
jo thā rahā na kuchh bhī jo hai na jaane kyā hai
so ab yahāñ se ruḳhsat āsān ho ga.ī hai
pahle the ham hī hairāñ ham sā nahīñ hai koī
aur ab to saarī duniyā hairān ho ga.ī hai
aisī chahal-pahal thī mushkil se lauTte the
yādoñ kī vo galī ab sunsān ho ga.ī hai
bas 'talḳh' kī ravish thī ab tak baġhair unvāñ
ab is ravish kā duurī unvān ho ga.ī hai
har shakl rafta rafta anjaan ho gai hai
mushkil thi jo bhi jis ki aasan ho gai hai
kahna na kuchh kisi se chup chup se takte rahna
aaKHir yahi hamari pahchan ho gai hai
ek shaKHs bhola-bhaala basti ki puchhta hai
kaise kahun ki basti viran ho gai hai
jo tha raha na kuchh bhi jo hai na jaane kya hai
so ab yahan se ruKHsat aasan ho gai hai
pahle the hum hi hairan hum sa nahin hai koi
aur ab to sari duniya hairan ho gai hai
aisi chahal-pahal thi mushkil se lauTte the
yaadon ki wo gali ab sunsan ho gai hai
bas 'talKH' ki rawish thi ab tak baghair unwan
ab is rawish ka duri unwan ho gai hai
- Book : Waseela (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.