har sher ghazal ka kah raha hai
har sher ġhazal kā kah rahā hai
tujh ko bhī bichhaḌ ke dukh huā hai
hai shola-e-jāñ meñ yaad terī
kyā aag meñ phuul khil rahā hai
ḳhurshīd-e-sahar tulūa ho kar
shabnam kā mizāj pūchhtā hai
kyā us ko batā.ūñ hijr ke ġham
jis par mirā haal aa.ina hai
maiñ kis se kahūñ fasāna-e-ġham
har ek kā dil dukhā huā hai
kyuuñ aa ga.ī darmiyān duniyā
ye terā mirā mo.āmla hai
kyā pāoge but se faiz 'hāfiz'
patthar bhī kahīñ ḳhudā banā hai
har sher ghazal ka kah raha hai
tujh ko bhi bichhaD ke dukh hua hai
hai shola-e-jaan mein yaad teri
kya aag mein phul khil raha hai
KHurshid-e-sahar tulua ho kar
shabnam ka mizaj puchhta hai
kya us ko bataun hijr ke gham
jis par mera haal aaina hai
main kis se kahun fasana-e-gham
har ek ka dil dukha hua hai
kyun aa gai darmiyan duniya
ye tera mera moamla hai
kya paoge but se faiz 'hafiz'
patthar bhi kahin KHuda bana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.