har shikan waqt ki peshani pe rakhi hui hai
har shikan vaqt kī peshānī pe rakhī huī hai
ham ne yuuñ zindagī āsānī pe rakhī huī hai
kuchh bhī kah lījiye buniyād hai āḳhir buniyād
kyā huā gar ye zamīñ paanī pe rakhī huī hai
guftugū kaise kareñ ahl-e-ḳhirad se ki vahāñ
apnī har baat hī nādānī pe rakhī huī hai
tum ne samjhā hai to bas itnā hameñ ki ham ne
zindagī yuuñ hī pareshānī pe rakhī huī hai
apnī pahchān to bas ye hai ki pahchān apnī
ham ne ajdād kī sultānī pe rakhī huī hai
haa.e ki jins-e-girāñ bhī hai lahū insāñ kā
aur yahī shai hai ki arzānī pe rakhī huī hai
ek muddat se hai dillī meñ obaidurrahman
ye nazar ab bhī ki hairānī pe rakhī huī hai
har shikan waqt ki peshani pe rakhi hui hai
hum ne yun zindagi aasani pe rakhi hui hai
kuchh bhi kah lijiye buniyaad hai aaKHir buniyaad
kya hua gar ye zamin pani pe rakhi hui hai
guftugu kaise karen ahl-e-KHirad se ki wahan
apni har baat hi nadani pe rakhi hui hai
tum ne samjha hai to bas itna hamein ki hum ne
zindagi yun hi pareshani pe rakhi hui hai
apni pahchan to bas ye hai ki pahchan apni
hum ne ajdad ki sultani pe rakhi hui hai
hae ki jins-e-giran bhi hai lahu insan ka
aur yahi shai hai ki arzani pe rakhi hui hai
ek muddat se hai dilli mein obaidurrahman
ye nazar ab bhi ki hairani pe rakhi hui hai
- Book : سخن دریا (Pg. 70)
- Author : عبید الرحمن
- Publication : عرشیہ پبلی کیشن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.