har shorish-e-masti ka afsana nahin banta
har shorish-e-mastī kā afsāna nahīñ bantā
har TuuTe hue dil se paimāna nahīñ bantā
dil josh-e-tajassus meñ ho jaatā hai dīvāna
jalvoñ ke banāne se dīvāna nahīñ bantā
ta.amīr kā ye pahlū hai ābla-pā.ī meñ
gulshan ke ujaḌne se vīrāna nahīñ bantā
ashkoñ ko zarā pī kar siine kā bharam dekho
chhalke hue sāġhar se mai-ḳhāna nahīñ bantā
be-soz-e-talab 'jauhar' ḳhud un kī nazar se bhī
unvān to bantā hai afsāna nahīñ bantā
har shorish-e-masti ka afsana nahin banta
har TuTe hue dil se paimana nahin banta
dil josh-e-tajassus mein ho jata hai diwana
jalwon ke banane se diwana nahin banta
tamir ka ye pahlu hai aabla-pai mein
gulshan ke ujaDne se virana nahin banta
ashkon ko zara pi kar sine ka bharam dekho
chhalke hue saghar se mai-KHana nahin banta
be-soz-e-talab 'jauhar' KHud un ki nazar se bhi
unwan to banta hai afsana nahin banta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.