har shuur-o-fikr-e-na-dida pas-e-diwar-e-harf
har shu.ūr-o-fikr-e-nā-dīda pas-e-dīvār-e-harf
haiñ na.e mafhūm poshīda pas-e-dīvār-e-harf
haiñ ġhazal-sūrat bahut yuuñ to chamakte aa.ine
mā'navī paikar haiñ bosīda pas-e-dīvār-e-harf
jism ke zaḳhmoñ ko gar dilkash qabā se Dhak liyā
ruuh ke haiñ zaḳhm duzdīda pas-e-dīvār-e-harf
ḳhushk chaTTānoñ kī sūrat īstāda the jo log
aksar un meñ bhī the nam-dīda pas-e-dīvār-e-harf
haiñ farāz-e-harf par bhī us kī 'azmat ke nishāñ
satvat-e-ġhālib hai poshīda pas-e-dīvār-e-harf
faḳhr hai jin ko ḳhud apnī ḳhush-bayānī par 'zafar'
hai zabāñ un kī bhī laġhzīda pas-e-dīvār-e-harf
har shuur-o-fikr-e-na-dida pas-e-diwar-e-harf
hain nae mafhum poshida pas-e-diwar-e-harf
hain ghazal-surat bahut yun to chamakte aaine
ma'nawi paikar hain bosida pas-e-diwar-e-harf
jism ke zaKHmon ko gar dilkash qaba se Dhak liya
ruh ke hain zaKHm duzdida pas-e-diwar-e-harf
KHushk chaTTanon ki surat istada the jo log
aksar un mein bhi the nam-dida pas-e-diwar-e-harf
hain faraaz-e-harf par bhi us ki 'azmat ke nishan
satwat-e-ghaalib hai poshida pas-e-diwar-e-harf
faKHr hai jin ko KHud apni KHush-bayani par 'zafar'
hai zaban un ki bhi laghzida pas-e-diwar-e-harf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.