har silsila-e-gham se shanasai hui hai
har silsila-e-ġham se shanāsā.ī huī hai
har mauj-e-talātum mirī Thukrā.ī huī hai
zulmat ne kahīñ chaak garebāñ na kiyā ho
aflāk pe rañgīn fazā chhā.ī huī hai
bebāk nigāhī pe jise naaz bahut thā
vo aañkh hameñ dekh ke sharmā.ī huī hai
ik ham ki har uftād pe haiñ mahv-e-tabassum
ik nabz-e-havādis hai ki tharrā.ī huī hai
gulshan meñ khaTaktā hai use merā nasheman
bijlī ḳhas-o-ḳhāshāk pe mañDlā.ī huī hai
har silsila-e-gham se shanasai hui hai
har mauj-e-talatum meri Thukrai hui hai
zulmat ne kahin chaak gareban na kiya ho
aflak pe rangin faza chhai hui hai
bebak nigahi pe jise naz bahut tha
wo aankh hamein dekh ke sharmai hui hai
ek hum ki har uftad pe hain mahw-e-tabassum
ek nabz-e-hawadis hai ki tharrai hui hai
gulshan mein khaTakta hai use mera nasheman
bijli KHas-o-KHashak pe manDlai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.