har sukut-e-bekaran izhaar se labrez hai
har sukūt-e-bekarāñ iz.hār se labrez hai
aa.ine kī ḳhāmushī dar-asl mā’nī-ḳhez hai
pīchhe muḌ kar dekhne kī aarzū mat kījiye
zindagī one way traffic hai bahāo tez hai
phir yahāñ maiñ der se pahuñchā huuñ aur phir sāmne
chand beva kursiyāñ haiñ ek ḳhālī mez hai
is qadar hairān kyoñ ho aaj mujh ko dekh kar
jis ne tum ko husn baḳhshā merā bhī rangrez hai
lafz kī ye saltanat ḳhālī nahīñ imkān se
shā'irī kā aa.ina kitnā tamaddun-ḳhez hai
sar uThāne par tire sad-haif hai 'tāhir' ki jab
hashr tak terā imām-e-‘ishq sajda-rez hai
har sukut-e-bekaran izhaar se labrez hai
aaine ki KHamushi dar-asl ma’ni-KHez hai
pichhe muD kar dekhne ki aarzu mat kijiye
zindagi one way traffic hai bahao tez hai
phir yahan main der se pahuncha hun aur phir samne
chand bewa kursiyan hain ek KHali mez hai
is qadar hairan kyon ho aaj mujh ko dekh kar
jis ne tum ko husn baKHsha mera bhi rangrez hai
lafz ki ye saltanat KHali nahin imkan se
sha'iri ka aaina kitna tamaddun-KHez hai
sar uThane par tere sad-haif hai 'tahir' ki jab
hashr tak tera imam-e-‘ishq sajda-rez hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.