har-su dhuen ka raqs hai aaj apne ganw mein
Interesting Fact
Kitab, Lucknow
har-sū dhueñ kā raqs hai aaj apne gaañv meñ
jalte lahū kī bū hai sisaktī havāoñ meñ
manzar ko dekhte hī vo behosh ho gayā
jhāñkā jo us ne ruuh kī andhī guphāoñ meñ
bistar pe pichhlī raat ajab mājrā huā
āñkheñ thiiñ band uḌtā rahā maiñ ḳhalāoñ meñ
sāhil kī ret par maiñ khaḌā sochtā rahā
uljhā thā merā zehn nadī kī havāoñ meñ
yuuñ to musāfiroñ kī nahīñ hai kamī yahāñ
Thahrā nahīñ magar koī dil kī sarāoñ meñ
har-su dhuen ka raqs hai aaj apne ganw mein
jalte lahu ki bu hai sisakti hawaon mein
manzar ko dekhte hi wo behosh ho gaya
jhanka jo us ne ruh ki andhi guphaon mein
bistar pe pichhli raat ajab majra hua
aankhen thin band uDta raha main KHalaon mein
sahil ki ret par main khaDa sochta raha
uljha tha mera zehn nadi ki hawaon mein
yun to musafiron ki nahin hai kami yahan
Thahra nahin magar koi dil ki saraon mein
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 103)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.