har-su hai aaj waqt ke maron ka silsila
har-sū hai aaj vaqt ke māroñ kā silsila
allah-re dardnāk nazāroñ kā silsila
pesh-e-nazar hai shoḳh nigāroñ kā silsila
rangoñ kā qāfila hai bahāroñ kā silsila
baḌhtā gayā fareb-e-tamannā ke faiz se
un kī nigāh-e-nāz ke māroñ kā silsila
kaisā karam kiyā hai ye fasl-e-bahār ne
gulshan meñ har taraf hai sharāroñ kā silsila
rātoñ ko terī yaad meñ aañsū bahā kiye
lauTā kabhī na chāñd sitāroñ kā silsila
kab hai mire junūñ ko gavārā bahār meñ
dāman se jeb tak rahe tāroñ kā silsila
dekheñ to aap 'mīr' se 'ġhālib' ke daur tak
raushan hai kitnā sīna-figāroñ kā silsila
is daur meñ bhī mast-e-sharāb-e-vafā huuñ maiñ
qaa.em hai mujh se bāda-gusāroñ kā silsila
gulzār-e-kā.enāt kī tanzīm dekhiye
phūloñ ke ās-pās hai ḳhāroñ kā silsila
'ishrat bharosa un kī nigāhoñ pe kyā kareñ
vo bhī hai ek jhūTe sahāroñ kā silsila
har-su hai aaj waqt ke maron ka silsila
allah-re dardnak nazaron ka silsila
pesh-e-nazar hai shoKH nigaron ka silsila
rangon ka qafila hai bahaaron ka silsila
baDhta gaya fareb-e-tamanna ke faiz se
un ki nigah-e-naz ke maron ka silsila
kaisa karam kiya hai ye fasl-e-bahaar ne
gulshan mein har taraf hai shararon ka silsila
raaton ko teri yaad mein aansu baha kiye
lauTa kabhi na chand sitaron ka silsila
kab hai mere junun ko gawara bahaar mein
daman se jeb tak rahe taron ka silsila
dekhen to aap 'mir' se 'ghaalib' ke daur tak
raushan hai kitna sina-figaron ka silsila
is daur mein bhi mast-e-sharab-e-wafa hun main
qaem hai mujh se baada-gusaron ka silsila
gulzar-e-kaenat ki tanzim dekhiye
phulon ke aas-pas hai KHaron ka silsila
'ishrat bharosa un ki nigahon pe kya karen
wo bhi hai ek jhuTe sahaaron ka silsila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.