har-su us ka charcha hone wala hai
har-sū us kā charchā hone vaalā hai
mausam phir se ujlā hone vaalā hai
bolegā auqāt se baḌh kar vo shāyad
qad se saaya ūñche hone vaalā hai
baat umūman kartā rahtā hai sach kī
jaldī hī vo tanhā hone vaalā hai
naam pe maz.hab ke jamghaT hai logoñ kā
shahr meñ shāyad dañgā hone vaalā hai
ham bhī pahuñcheñ le kar apnī ḳhāmoshī
āvāzoñ kā saudā hone vaalā hai
itnā royā huuñ maiñ us kī yādoñ meñ
saarā paanī khārā hone vaalā hai
hañs ke dekhā hai us ne merī jānib
'shoḳh' maraz ab achchhā hone vaalā hai
har-su us ka charcha hone wala hai
mausam phir se ujla hone wala hai
bolega auqat se baDh kar wo shayad
qad se saya unche hone wala hai
baat umuman karta rahta hai sach ki
jaldi hi wo tanha hone wala hai
nam pe mazhab ke jamghaT hai logon ka
shahr mein shayad danga hone wala hai
hum bhi pahunchen le kar apni KHamoshi
aawazon ka sauda hone wala hai
itna roya hun main us ki yaadon mein
sara pani khaara hone wala hai
hans ke dekha hai us ne meri jaanib
'shoKH' maraz ab achchha hone wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.