har tabiat ko jahan pyar bhari KHu kahiye
har tabiat ko jahan pyar bhari KHu kahiye
Qaisar Haideri Dehlvi
MORE BYQaisar Haideri Dehlvi
har tabī.at ko jahāñ pyaar bharī ḳhū kahiye
kaun se phuul ko us baaġh kī ḳhushbū kahiye
duur tak bhī koī sahrā hai na gulshan na qayām
rahbar-e-shauq ko āgāh-e-man-o-tū kahiye
ham abhī dil meñ tujhe DhūñDne se qāsir haiñ
ye alag baat ki jalve tire har sū kahiye
aaj kī raat kisī baat kā shikva kyoñ ho
aap kahiye kabhī tum kahiye kabhī tū kahiye
ek mehrāb sī masjid kī nazar aatī hai
mauj-e-mai kahiye ki añgḌā.ī ki abrū kahiye
istifāda hai ye ash.ār nahīñ haiñ 'qaisar'
shāna-e-'mīr' pe bikhre hue gesū kahiye
har tabiat ko jahan pyar bhari KHu kahiye
kaun se phul ko us bagh ki KHushbu kahiye
dur tak bhi koi sahra hai na gulshan na qayam
rahbar-e-shauq ko aagah-e-man-o-tu kahiye
hum abhi dil mein tujhe DhunDne se qasir hain
ye alag baat ki jalwe tere har su kahiye
aaj ki raat kisi baat ka shikwa kyon ho
aap kahiye kabhi tum kahiye kabhi tu kahiye
ek mehrab si masjid ki nazar aati hai
mauj-e-mai kahiye ki angDai ki abru kahiye
istifada hai ye ashaar nahin hain 'qaisar'
shana-e-'mir' pe bikhre hue gesu kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.