har tajraba shikar-e-fareb-e-nazar hua
har tajraba shikār-e-fareb-e-nazar huā
kin zulmatoñ pe aah gumān-e-sahar huā
kis kis adā se aaj koī jalva-gar huā
aayā nazar ko hosh to dil be-ḳhabar huā
ai rahnumā jasārat-e-rahzan kī daad de
jo hādisa huā vo sar-e-rahguzar huā
hai āfrīñ jo hañste nahīñ haiñ tamām-umr
ham se to ek din bhī na ġham kā basar huā
pahle to arz-e-ġham kī ijāzat na deñge vo
vaqfa bahut qalīl sā hogā agar huā
rakkhī thī jis pe terā nasheman bahār meñ
kyā iltifāt-e-barq isī shāḳh par huā
ye pūchhnā abas hai dil-e-ḳhush-ḳhayāl se
ābād ham hue haiñ ki barbād ghar huā
har tajraba shikar-e-fareb-e-nazar hua
kin zulmaton pe aah guman-e-sahar hua
kis kis ada se aaj koi jalwa-gar hua
aaya nazar ko hosh to dil be-KHabar hua
ai rahnuma jasarat-e-rahzan ki dad de
jo hadisa hua wo sar-e-rahguzar hua
hai aafrin jo hanste nahin hain tamam-umr
hum se to ek din bhi na gham ka basar hua
pahle to arz-e-gham ki ijazat na denge wo
waqfa bahut qalil sa hoga agar hua
rakkhi thi jis pe tera nasheman bahaar mein
kya iltifat-e-barq isi shaKH par hua
ye puchhna abas hai dil-e-KHush-KHayal se
aabaad hum hue hain ki barbaad ghar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.