har takalluf bila-zarurat hai
har takalluf bilā-zarūrat hai
sach kahūñ aap se mohabbat hai
maiñ use jitnā dekhnā chāhūñ
vo bhī utnī hī ḳhūb-sūrat hai
maiñ bahut ḳhush huuñ aur ḳhushī kā sabab
aap bilkul nahīñ haiñ vahshat hai
merī sāñseñ bhī ho ga.iiñ mashrūt
'ishq kyā hai koī musībat hai
aur vo kis tarah kare iz.hār
maiñ na samjhūñ to mujh pe lā'nat hai
aane vaale dinoñ meñ jiitā huuñ
mujh ko ā.indagāñ se nisbat hai
har takalluf bila-zarurat hai
sach kahun aap se mohabbat hai
main use jitna dekhna chahun
wo bhi utni hi KHub-surat hai
main bahut KHush hun aur KHushi ka sabab
aap bilkul nahin hain wahshat hai
meri sansen bhi ho gain mashrut
'ishq kya hai koi musibat hai
aur wo kis tarah kare izhaar
main na samjhun to mujh pe la'nat hai
aane wale dinon mein jita hun
mujh ko aaindagan se nisbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.