Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har tamasha chand lamhon mein purana ho gaya

Shareef Munawwar

har tamasha chand lamhon mein purana ho gaya

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1966

    har tamāshā chand lamhoñ meñ purānā ho gayā

    rafta rafta band phir ik ik darīcha ho gayā

    jaane kis jānib se sūraj kiran mujh par paḌī

    merā saayā mere qāmat se bhī ūñchā ho gayā

    āgahī aur āshiqī dīvāngī aur mai-kashī

    tajraba bā.īs barsoñ meñ bahut ho gayā

    ye sazā-e-shauq hai qīmat-e-ḳhud-āgahī

    dil huā pur-nūr to be-nūr chehra ho gayā

    sher fan bhī 'munavvar' apne kaam aayā nahīñ

    ham hue fankār to ye fan rusvā ho gayā

    har tamasha chand lamhon mein purana ho gaya

    rafta rafta band phir ek ek daricha ho gaya

    jaane kis jaanib se suraj ki kiran mujh par paDi

    mera saya mere qamat se bhi uncha ho gaya

    aagahi aur aashiqi diwangi aur mai-kashi

    tajraba bais barson mein bahut sa ho gaya

    ye saza-e-shauq hai ya qimat-e-KHud-agahi

    dil hua pur-nur to be-nur chehra ho gaya

    sher ka fan bhi 'munawwar' apne kaam aaya nahin

    hum hue fankar to ye fan hi ruswa ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now