har tamashai faqat sahil se manzar dekhta
Interesting Fact
Faraz's ghazal has been included in Mumbai University literature curriculum
har tamāshā.ī faqat sāhil se manzar dekhtā
kaun dariyā ko ulaTtā kaun gauhar dekhtā
vo to duniyā ko mirī dīvāngī ḳhush aa ga.ī
tere hāthoñ meñ vagarna pahlā patthar dekhtā
aañkh meñ aañsū juḌe the par sadā tujh ko na dī
is tavaqqo.a par ki shāyad tū palaT kar dekhtā
merī qismat kī lakīreñ mere hāthoñ meñ na thiiñ
tere māthe par koī merā muqaddar dekhtā
zindagī phailī huī thī shām-e-hijrāñ kī tarah
kis ko itnā hausla thā kaun jī kar dekhtā
Dūbne vaalā thā aur sāhil pe chehroñ kā hujūm
pal kī mohlat thī maiñ kis ko aañkh bhar kar dekhtā
tū bhī dil ko ek ḳhuuñ kī buuñd samjhā hai 'farāz'
aañkh agar hotī to qatre meñ samundar dekhtā
har tamashai faqat sahil se manzar dekhta
kaun dariya ko ulaTta kaun gauhar dekhta
wo to duniya ko meri diwangi KHush aa gai
tere hathon mein wagarna pahla patthar dekhta
aankh mein aansu juDe the par sada tujh ko na di
is tawaqqoa par ki shayad tu palaT kar dekhta
meri qismat ki lakiren mere hathon mein na thin
tere mathe par koi mera muqaddar dekhta
zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah
kis ko itna hausla tha kaun ji kar dekhta
Dubne wala tha aur sahil pe chehron ka hujum
pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta
tu bhi dil ko ek KHun ki bund samjha hai 'faraaz'
aankh agar hoti to qatre mein samundar dekhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.