Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har tamanna mujhko harjai mili

Saifurrahman Abbad Ghazipuri

har tamanna mujhko harjai mili

Saifurrahman Abbad Ghazipuri

MORE BYSaifurrahman Abbad Ghazipuri

    har tamanna mujh ko harjā.ī milī

    parbatoñ ke shauq meñ khaa.ī milī

    sab ko tanhā.ī meñ bhī saaqī mile

    mujh ko tanhā.ī meñ tanhā.ī milī

    pūchhtā kyā maiñ mizāj-e-zindagī

    jab milī vo mujh ko ghabrā.ī milī

    bebasī had se baḌhī jis raah par

    har qadam par ābla-pā.ī milī

    khul gayā ḳhud samundar bharam

    jab lab-e-sāhil gahrā.ī milī

    pūchh mat 'abbād' shahr-e-fikr meñ

    kis ko shohrat kis ko rusvā.ī milī

    har tamanna mujh ko harjai mili

    parbaton ke shauq mein khai mili

    sab ko tanhai mein bhi saqi mile

    mujh ko tanhai mein tanhai mili

    puchhta kya main mizaj-e-zindagi

    jab mili wo mujh ko ghabrai mili

    bebasi had se baDhi jis rah par

    har qadam par aabla-pai mili

    khul gaya KHud hi samundar ka bharam

    jab lab-e-sahil hi gahrai mili

    puchh mat 'abbaad' shahr-e-fikr mein

    kis ko shohrat kis ko ruswai mili

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now