har tamanna puri kar de jo hamare dil mein hai
har tamanna puurī kar de jo hamāre dil meñ hai
aane vaale ab to aa jā zindagī mushkil meñ hai
kis tarah bhūleñge tujh ko bhūlnā mumkin nahīñ
terī yādoñ kā diyā raushan hamāre dil meñ hai
hasrat-o-ummīd ke is baar shāyad gul khileñ
dekh vo ġhuncha-dahan jān-e-chaman mahfil meñ hai
yuuñ to kahne ko use kahtī hai duniyā be-gunāh
ḳhūn-e-dil kā daaġh lekin dāman-e-qātil meñ hai
dekhnā ai 'dard' ho jā.eñge dil kitne asiir
zulf-e-pechāñ aaj vo khole hue mahfil meñ hai
har tamanna puri kar de jo hamare dil mein hai
aane wale ab to aa ja zindagi mushkil mein hai
kis tarah bhulenge tujh ko bhulna mumkin nahin
teri yaadon ka diya raushan hamare dil mein hai
hasrat-o-ummid ke is bar shayad gul khilen
dekh wo ghuncha-dahan jaan-e-chaman mahfil mein hai
yun to kahne ko use kahti hai duniya be-gunah
KHun-e-dil ka dagh lekin daman-e-qatil mein hai
dekhna ai 'dard' ho jaenge dil kitne asir
zulf-e-pechan aaj wo khole hue mahfil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.