Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har tamanna dil se ruKHsat ho gai

Sajid Siddiqi lakhnavi

har tamanna dil se ruKHsat ho gai

Sajid Siddiqi lakhnavi

MORE BYSajid Siddiqi lakhnavi

    har tamannā dil se ruḳhsat ho ga.ī

    aaj mustahkam mohabbat ho ga.ī

    ban ga.ī bīmār-e-ġham zindagī

    un jab chashm-e-ināyat ho ga.ī

    shukriya jo aap aa.e dekhne

    kam se kam jiine sūrat ho ga.ī

    ġhair apne aur apne ġhair haiñ

    kyā se kyā duniyā hālat ho ga.ī

    dekhiye zabt-e-mohabbat ma.aal

    ashk-e-ġham piine aadat ho ga.ī

    muskurā.e mujh ko rotā dekh kar

    aap zāhir mohabbat ho ga.ī

    tum se mil kar itne ġham sahne paḌe

    ġham-pasandāna tabī.at ho ga.ī

    jin 'sājid' umr-bhar kahnā kiyā

    ab unhīñ ko ham se nafrat ho ga.ī

    har tamanna dil se ruKHsat ho gai

    aaj mustahkam mohabbat ho gai

    ban gai bimar-e-gham ki zindagi

    un ki jab chashm-e-inayat ho gai

    shukriya jo aap aae dekhne

    kam se kam jine ki surat ho gai

    ghair apne aur apne ghair hain

    kya se kya duniya ki haalat ho gai

    dekhiye zabt-e-mohabbat ka maal

    ashk-e-gham pine ki aadat ho gai

    muskurae mujh ko rota dekh kar

    aap ki zahir mohabbat ho gai

    tum se mil kar itne gham sahne paDe

    gham-pasandana tabiat ho gai

    jin ka 'sajid' umr-bhar kahna kiya

    ab unhin ko hum se nafrat ho gai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now