har taqaza jo zindagi ka hai
har taqāzā jo zindagī kā hai
puurā hotā kisī kisī kā hai
ab vo dukh de to kyā gila us se
sukh bhī saarā diyā usī kā hai
ban chalā hai abhī se afsāna
vāqi.a jo abhī abhī kā hai
sab irāde haiñ nek-o-bad 'tāriq'
kuchh bharosā bhī zindagī kā hai
har taqaza jo zindagi ka hai
pura hota kisi kisi ka hai
ab wo dukh de to kya gila us se
sukh bhi sara diya usi ka hai
ban chala hai abhi se afsana
waqia jo abhi abhi ka hai
sab irade hain nek-o-bad 'tariq'
kuchh bharosa bhi zindagi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.