har taraf aankh mein hai nami dosto
har taraf aañkh meñ hai namī dosto
kho ga.ī hai kahīñ par hañsī dosto
ranj-o-ġham aur udāsī ke māhaul meñ
ā.īye bāñTte haiñ ḳhushī dosto
dard-dukh ham kisī kā jo kam kar sakeñ
asl meñ hai vahī bandagī dosto
dil kī mahfil sajī hai chale ā.īye
ā.īye aap kī hai kamī dosto
do qadam tum chalo do qadam ham chaleñ
zindagī se mile zindagī dosto
kah rahī hai 'kiran' ā.īye aaj ham
pyaas ko kar chaleñ ik nadī dosto
har taraf aankh mein hai nami dosto
kho gai hai kahin par hansi dosto
ranj-o-gham aur udasi ke mahaul mein
aaiye banTte hain KHushi dosto
dard-dukh hum kisi ka jo kam kar saken
asl mein hai wahi bandagi dosto
dil ki mahfil saji hai chale aaiye
aaiye aap ki hai kami dosto
do qadam tum chalo do qadam hum chalen
zindagi se mile zindagi dosto
kah rahi hai 'kiran' aaiye aaj hum
pyas ko kar chalen ek nadi dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.