har taraf be-chehragi hai kis ka chehra dekhiye
har taraf be-chehragī hai kis kā chehra dekhiye
ā.īna be-āb hai to ā.īna kyā dekhiye
kis yaqīñ ne kis gumāñ ne kar diyā hai be-naqāb
mere hone aur na hone kā tamāshā dekhiye
ik bulandī par pahuñch kar ham sitāre kī tarah
ḳhud chamak jaate haiñ to phir kyā sitārā dekhiye
duur tak phailā huā hai naqsh-e-sahrā-e-sukūt
zindagī ke moḌ par ḳhush-rañg sahrā dekhiye
TukḌe-TukḌe ho ga.ī hai ā.inoñ kī zindagī
ab inhī TukḌoñ meñ 'aḳhtar' apnā chehrā dekhiye
har taraf be-chehragi hai kis ka chehra dekhiye
aaina be-ab hai to aaina kya dekhiye
kis yaqin ne kis guman ne kar diya hai be-naqab
mere hone aur na hone ka tamasha dekhiye
ek bulandi par pahunch kar hum sitare ki tarah
KHud chamak jate hain to phir kya sitara dekhiye
dur tak phaila hua hai naqsh-e-sahra-e-sukut
zindagi ke moD par KHush-rang sahra dekhiye
TukDe-TukDe ho gai hai aainon ki zindagi
ab inhi TukDon mein 'aKHtar' apna chehra dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.