har taraf be-hisab KHamoshi
har taraf be-hisāb ḳhāmoshī
lag rahī hai azaab ḳhāmoshī
jis kī aadat thī bolte rahnā
us pe kyoñ hai janāb ḳhāmoshī
hai samā.at bhī be-sadā apnī
aur us kā ḳhitāb ḳhāmoshī
ab shab-o-roz yuuñ guzarte haiñ
apnā kamra kitāb ḳhāmoshī
har jagah bolnā nahīñ achchhā
har jagah hai ḳharāb ḳhāmoshī
ek unvān thā mujhe darkār
kar liyā intiḳhāb ḳhāmoshī
shorishoñ kā sabaq liyā pahle
ab hai dil kā nisāb ḳhāmoshī
tum jo chup ho to phir munāsib hai
ho mirā bhī javāb ḳhāmoshī
muztarib thā bahut firāq meñ dil
hāsil-e-iztirāb ḳhāmoshī
kitnā charchā thā ḳhvāb kā 'aḳhtar'
aur tābīr-e-ḳhvāb ḳhāmoshī
har taraf be-hisab KHamoshi
lag rahi hai azab KHamoshi
jis ki aadat thi bolte rahna
us pe kyon hai janab KHamoshi
hai samaat bhi be-sada apni
aur us ka KHitab KHamoshi
ab shab-o-roz yun guzarte hain
apna kamra kitab KHamoshi
har jagah bolna nahin achchha
har jagah hai KHarab KHamoshi
ek unwan tha mujhe darkar
kar liya intiKHab KHamoshi
shorishon ka sabaq liya pahle
ab hai dil ka nisab KHamoshi
tum jo chup ho to phir munasib hai
ho mera bhi jawab KHamoshi
muztarib tha bahut firaq mein dil
hasil-e-iztirab KHamoshi
kitna charcha tha KHwab ka 'aKHtar'
aur tabir-e-KHwab KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.