har taraf dhup ki chadar ko bichhane wala
har taraf dhuup kī chādar ko bichhāne vaalā
kaam par niklā hai duniyā ko jagāne vaalā
apne har jurm ko purkhoñ kī virāsat kah kar
aib ko riit batātā hai batāne vaalā
aaj ik laash kī sūrat vo nazar aatā hai
ātmāoñ se mulāqāt karāne vaalā
aql kī aañkh se dekhā hai tumhāre chhal ko
tīsrī aañkh banātā hai banāne vaalā
apnī ma.asūm baġhāvat pe baḌā hai parasnn
kaaTh kī top khilaunoñ meñ sajāne vaalā
tiir kī nok pe mīnākshī rahtī hai sadā
lakshya sādhegā kahāñ tak ye nishāne vaalā
niiñd phir aa.egī 'sājid' tumheñ be-fikrī se
kaam koī na karo dil ko dukhāne vaalā
har taraf dhup ki chadar ko bichhane wala
kaam par nikla hai duniya ko jagane wala
apne har jurm ko purkhon ki wirasat kah kar
aib ko rit batata hai batane wala
aaj ek lash ki surat wo nazar aata hai
aatmaon se mulaqat karane wala
aql ki aankh se dekha hai tumhaare chhal ko
tisri aankh banata hai banane wala
apni masum baghawat pe baDa hai parasnn
kaTh ki top khilaunon mein sajaane wala
tir ki nok pe minakshi rahti hai sada
lakshya sadhega kahan tak ye nishane wala
nind phir aaegi 'sajid' tumhein be-fikri se
kaam koi na karo dil ko dukhane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.