har taraf ek sukut tari hai
har taraf ik sukūt taarī hai
be-sadā.ī kā shor jaarī hai
dil pashemāñ hai tark-e-ulfat par
ab ke shāyad ḳhatā hamārī hai
ājizī naam hai tashaddud kā
kibr kā naam inkisārī hai
koshisheñ kar rahā hai bujhne kī
aaj kī shab diye pe bhārī hai
us se pūchho shikast ke ma.anī
jiit kar jis ne jang haarī hai
chāhateñ hasrateñ tamannā.eñ
zindagī kyā siyāhkārī hai
ek lamha na jī sake 'sālim'
yuuñ to ik zindagī guzārī hai
har taraf ek sukut tari hai
be-sadai ka shor jari hai
dil pasheman hai tark-e-ulfat par
ab ke shayad KHata hamari hai
aajizi nam hai tashaddud ka
kibr ka nam inkisari hai
koshishen kar raha hai bujhne ki
aaj ki shab diye pe bhaari hai
us se puchho shikast ke mani
jit kar jis ne jang haari hai
chahaten hasraten tamannaen
zindagi kya siyahkari hai
ek lamha na ji sake 'salim'
yun to ek zindagi guzari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.