har taraf iztirab hai yaro
har taraf iztirāb hai yaaro
vaqt kitnā ḳharāb hai yaaro
ek ik pal meñ karb se kitnā
lamha lamha azaab hai yaaro
har taraf toḌ-phoḌ kī sāzish
ye bhī ik inqalāb hai yaaro
aaj īñToñ kī sar-kashī ke liye
pattharoñ kā javāb hai yaaro
rahbar-e-vaqt vaqt ke rahzan
kyā ajab intiḳhāb hai yaaro
jiinā dushvār zindagī mushkil
ik tarah ka itaab hai yaaro
ġham kī tahrīr kah rahī hai 'navāz'
chehra chehra kitāb hai yaaro
har taraf iztirab hai yaro
waqt kitna KHarab hai yaro
ek ek pal mein karb se kitna
lamha lamha azab hai yaro
har taraf toD-phoD ki sazish
ye bhi ek inqalab hai yaro
aaj inTon ki sar-kashi ke liye
pattharon ka jawab hai yaro
rahbar-e-waqt waqt ke rahzan
kya ajab intiKHab hai yaro
jina dushwar zindagi mushkil
ek tarah ka itab hai yaro
gham ki tahrir kah rahi hai 'nawaz'
chehra chehra kitab hai yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.