har taraf jab dhuāñ dhuāñ hogā
kyā ḳhabar phir koī kahāñ hogā
gar nahīñ ye jahān sapnoñ kā
kyā koī dūsrā jahāñ hogā
kaT ga.e haiñ safar meñ kitne baras
kyā kahīñ apnā bhī makāñ hogā
zindagī jab na hogī tab ai dost
maiñ kahāñ aur tū kahāñ hogā
zindagī se rahā jo baḌh ke aziiz
ġham vo lafzoñ meñ kyā bayāñ hogā
dast-e-vīrānī aur tanhā.ī
bas-ki apnā yahī nishāñ hogā
pūchhte haiñ hasīñ use shab-o-roz
'raaj shāyad abhī javāñ hogā
har taraf jab dhuan dhuan hoga
kya KHabar phir koi kahan hoga
gar nahin ye jahan sapnon ka
kya koi dusra jahan hoga
kaT gae hain safar mein kitne baras
kya kahin apna bhi makan hoga
zindagi jab na hogi tab ai dost
main kahan aur tu kahan hoga
zindagi se raha jo baDh ke aziz
gham wo lafzon mein kya bayan hoga
dast-e-virani aur tanhai
bas-ki apna yahi nishan hoga
puchhte hain hasin use shab-o-roz
'raj shayad abhi jawan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.